dard-e-tanhai alag hai shadmani hai alag mera qissa aur hai un ki kahani hai alag ek hai mausam khizan ka ek hai fasl-e-bahaar daur-e-piri hai alag ahd-e-jawani hai alag jam-e-sahba mein kahan aisa maza hai saqiya teri aankhon ki sharab-e-arghawani hai alag hashr mein pesh-e-khuda khulte hain sab aib-o-hunar dudh ka dudh aur hai pani ka pani hai alag wo hai maidan-e-jaza ye aazmaish ki jagah dar-e-uqba aur hai duniya-e-fani hai alag hukm ka sikka chalana mulk mein hai aur baat mulk walon ke dilon par hukmrani hai alag