us sitamgar se aashnai ki umr bhar jis ne bewafai ki hanste hanste hi todna dil ka ek ada hai ye dilrubai ki main ki khamosh ishq ka talib un ko aadat hai khud-numai ki dard-o-gham aur karb ka aalam hae kya raat thi judai ki un ka didar garche mushkil tha jurat-e-shauq ne rasai ki na chala gard-e-karwan tak main intiha hai shikasta-pai ki jab asiri mein qurb ho un ka kaun khwahish kare rihai ki ranj-o-gham mein bhi mutmain rakhna ye to hai shan kibriyai ki gham ki tarik wadiyon mein 'azim' dil ke zakhmon ne rahnumai ki