ek umr se dil mein hai nihan chah kisi ki wo dekhte baithe hain abhi rah kisi ki auron ko satane se tere hath utha le dar hai ki na lag jae tujhe aah kisi ki rakkha na karo daulat-e-duniya pe bharosa ye gah tumhaari hai to hai gah kisi ki girdab-e-hawadis se ubharna nahin mushkil le dubti hai himmat-e-kotah kisi ki hai qahr-e-ilahi ka sabab kibr kisi ka hai wajh-e-tabahi hawas-e-jah kisi ki ai mah-e-munawwar rukh-e-raushan hai kisi ka ai kahkashan tu hai guzargah kisi ki manga hai saliqe se bhi 'bartar' kabhi tum ne kahte ho ki sunta nahin allah kisi ki