dard ek shama-e-tafakkur hai agar samjho to fahm insan ka tabahhur hai agar samjho to mithe bolon mein nahin mahz tasalli mein nahin jehd-e-paiham ka tasawwur hai agar samjho to ye haqiqat ke qalam se likha afsana hai ye hi irfan-e-tafakkur hai agar samjho to ye ibaadat hai tahajjud ki ye hogi maqbul josh-e-ummid se ye pur hai agar samjho to tesha-e-koh-kani aatish-e-namrud hai ye aazmaish ka taqarrur hai agar samjho to aks is ka nahin aaina-e-taqdir mein han dawat-e-fikr-o-tadabbur hai agar samjho to