har haqiqat hai wahi khwab-e-pareshan ki jo tha jazba-e-dil hai wahi chaak-gareban ki jo tha mah jabinon ko mile jor ke andaz nae dil-figaron ko wahi dida-e-hairan ki jo tha han shahidan-e-wafa sar pe kafan kaj hi rahe dekhna aaj bhi zalim hai pasheman ki jo tha na masiha na hi mansur na farhad raha ab kahan raunaq-o-hangama-e-yaran ki jo tha ek taraf unchi imaraat hain zindan zindan ek taraf ghar hai mera dasht-o-bayaban ki jo tha