dard jab ishq mein mail-ba-fughan hota hai wahi aalam to tabiat pe garan hota hai moajiza ishq ka us waqt ayan hota hai us ki taswir pe jab apna guman hota hai ab to har bazm mein haal apna bayan hota hai kaun ab kis ke liye girya-kunan hota hai jab kabhi tazkira-e-gul-badnan hota hai rahguzaron pe bahaaron ka guman hota hai chandni raat mein jab hote hain wo mere qarib wahi aalam to mohabbat mein jawan hota hai kis qadar pi hai kahan pi hai kahan tak pi hai pine wale ko ye ehsas kahan hota hai han wahi 'warsi' kahte hain jise aap 'aziz' koi bhi bazm ho wo pir-e-mughan hota hai