guzarna hai ji se guzar jaiye liye dida-e-tar kidhar jaiye khule dil se milta nahin ab koi use bhulne kis ke ghar jaiye subuk-rau hai mauj-e-gham-e-dil abhi abhi waqt hai par utar jaiye ulat to diya parda-e-shab magar nahin sujhta ab kidhar jaiye ilaj-e-gham-e-dil na sahra na ghar wahi hu ka aalam jidhar jaiye isi mod par hum hue the juda mile hain to dam bhar thahar jaiye kathin hain bahut hijr ke marhale taqaza hai hans kar guzar jaiye ab us dar ki 'akhtar' hawa aur hai liye apne sham-o-sahar jaiye