dard jab jab jahan se guzrega qafila ho ke jaan se guzrega fikr mein aaega sawal mera aur jawab us ka han se guzrega main to ye soch bhi nahin sakta koi shikwa zaban se guzrega samne aaega mera kirdar zikr jab dastan se guzrega phir mujhe yaad aaega bachpan ek zamana guman se guzrega rahguzar hai udas meri tarah jaane kab wo yahan se guzrega log hairat mein dub jaenge jab bhi wo darmiyan se guzrega ye parinda jo qaid mein hai abhi ek din aasman se guzrega