na puchh ai ham-nafas afsana-e-ranj-o-mehan mera na hai bas mein zaban meri na qabu mein dahan mera shamim-e-zulf ne mahka diya dil ka har ek gosha jo bikhrin yar ki zulfen bana pallu khutan mera sata le jitna ji chahe magar itna samajh rakhna rasa hoga kabhi to nala ai charkh-e-kuhan mera na daman hi salamat hai na jeb-o-astin baqi hua hai nazr-e-khar-e-dasht sara pairahan mera hare phir kar diye zakhm-e-jigar abr-e-bahaaran ne hua shadab do chhinton mein ye ujda chaman mera wo kahte hain kaho jo kuchh tumhein kahna ho ai 'kaifi' magar taqat kahan se lae kahne ki dahan mera