ghata ho bagh ho pahlu mein apne yar-e-jaani ho jo ye saman mayassar ho to lutf-e-zindagani ho maza kya khizr ki surat jo umr-e-jawedani ho hum us jine se baz aae jo tanha zindagani ho ghata hai saqiya saman-e-wasl-e-yar-e-jaani ho labaalab har surahi mein sharab-e-arghawani ho khizan mein kahte hain pir-e-mughan se rind-mashrab yun bahaar aai kahin daur-e-sharab-e-arghawani ho kisi yusuf-liqa par dil jo aae ahd-e-piri mein nae sar se zulekha ki sifat phir naujawani ho mujhe shauq-e-shahadat tishna-lab laya hai maqtal mein pila de aab-e-khanjar pyas agar qatil bujhani ho wo mujrim hun kahunga hashr mein allah se ro kar jahannum se main bach jaun jo teri mehrbani ho mohabbat in butan-e-sang-dil se dekh kar karna shab-e-furqat ki iza gar tujhe ai dil uthani ho teri taswir ai jaan khinch le kya tab rakhta hai nazar bhar kar agar dekhe tujhe behosh mani ho piye jata hun khum ke khum wo mai-khane mein mai-kash hun pilae ja mujhe saqi jahan tak mai pilani ho habab-e-bahr ki surat nahin dam bhar sabaat is ko meri nazron mein phir duniya-e-dun kyunkar na fani ho khada hun tur par kab se mujhe didar dikhla do kalim-ullah jab aaen to un se lan-tarani ho 'wafa' bahr-e-khuda chhodo mohabbat in hasinon ki buton ke hijr mein aisa na ho zaea jawani ho