dard ke pile gulabon ki thakan baqi rahi jagti aankhon mein khwabon ki thakan baqi rahi paniyon ka jism sahlati rahi purwa magar tutte bante hababon ki thakan baqi rahi did ki aasudgi mein kaun kaise dekhta darmiyan kitne hijabon ki thakan baqi rahi falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi barishen hoti rahen 'nasir' samundar ki taraf regzaron mein sarabon ki thakan baqi rahi