main ne kaha tha aaj na jaen ghode behad thake hue hain us ne kaha tha jaana tai hai dushman pichhe lage hue hain main ne kaha tha daen taraf ki ghati mein hum chhup jate hain us ne kaha tha na-mumkin hai tiron mein hum ghire hue hain main ne kaha tha ghaar mein katen hijrat-rut ki pahli raaten us ne kaha tha us ke bilon mein sanp aur bichchhu chhupe hue hain main ne kaha tha pyas ke mare kali ret pe mar jaenge us ne kaha tha thik hai lekin do mashkize bhare hue hain main ne kaha tha us se aage chhupne ki kya surat hogi us ne kaha tha darte kyun ho aage qile bane hue hain main ne kaha tha do hi hain hum shahr-e-sitam se jaane wale us ne kaha tha basti mein kuchh aur bhi sathi ruke hue hain main ne kaha tha sunte ho tum pichhe pichhe aati tapen us ne kaha tha hum bhi ajab hain do rahe par ruke hue hain main ne kaha tha ab kya hoga dushman sar par aa pahuncha hai us ne kaha tha ghaar ke munh par lakhon jale tane hue hain main ne kaha tha ye to batao kis ki taraf mehmani hogi us ne kaha tha yasrib wale ek duje se badhe hue hain