zindagi ishq ke mazhab mein bitana chahen hum tere sath kabhi chand pe jaana chahen hum qawanin-e-mohabbat mein tujhe le aaen hum tere nam ka ek mulk basana chahen hum ye chahen ki tere husn ke parde kholen hum tere khwab farishton ko dikhana chahen us ki aankhon mein basar karte rahen umr ke khwab us ki sanson se hi ab sans badhana chahen jaante hain ki use dekh ke mar jaenge phir bhi us shakhs se hum aankh milana chahen wo jo ek jaan ka dushman hai usi ko 'bushra' apni ye umr bhi ab us ko lagana chahen