dard ki lahar yaqinan mere ghar jaegi main na hunga to khuda jaane kidhar jaegi mauja-e-khun se guzarna hai guzar jaegi chaar-din baad ye naddi bhi utar jaegi kaun kar sakta hai afkar-o-nazar ko mahsur kaam khushbu ka bikharna hai bikhar jaegi manzil-e-zist tujhe main na karunga mayus main na pahuncha to meri gard-e-safar jaegi main andheron ke tasalsul se nahin hun khaif raushni aaj nahin kal mere ghar jaegi main to mar sakta hun haalat ke sannaton mein dosto kya meri aawaz bhi mar jaegi