wo jo har rah ke har mod par mil jata hai ab ke puchhenge ki us shakhs ka qissa kya hai main wo patthar hun nahin jis ko mila sang-tarash main ne har shakl ko apne mein samo rakkha hai yunhi chup-chap bhala baithe rahoge kab tak koi darwaza kahin yun bhi khula karta hai jab bhi girti hai kisi kuche mein koi diwar mujh ko lagta hai koi shakhs bahut roya hai panw jalte hain yahan jism bhi jal jaega tum ne kiya soch ke sahra mein qadam rakha hai tutte bante hi ye umr guzar jaegi meri har shakl mein ek naqs ubhar aata hai hum ne har daur ke sine mein hain ghonpe khanjar aur har daur ke sine se lahu tapka hai tum ne puchha hai ki tum kya ho kahan ho kyun ho ye to batlao ki is soch mein kya rakkha hai dasht ke pedon se kya puchh rahe ho 'abid' bhul jao ki tumhein koi sada deta hai