na karb-e-hijr na kaiffiyat-e-visal mein hun mujhe na chhediye ab main ajib haal mein hun tamam rang-e-ibarat mein soz-e-jaan se mere main husn-e-zat hun aur manzil-e-jamal mein hun mera wajud zarurat hai har zamane ki main raushni ki tarah zehn-e-mah-o-sal mein hun abhi wasil-e-izhaar dhundhti hai nigah abhi sawal kahan hasrat-e-sawal mein hun mujhe na dekh meri zat se alag kar ke main jo bhi kuchh hun faqat apne khadd-o-khal mein hun main ji raha hun ye mera kamal hai 'hashri' main apne ahd ki tahzib ke zawal mein hun