jab aansuon ke bharose ka zikr chalta hai

jab aansuon ke bharose ka zikr chalta hai
bichhadte waqt bhi takiye ka zikr chalta hai

gali mein log hain aur un mein ek main bhi hun
aur ek makan ke tale ka zikr chalta hai

kisi bhi baat ko sanjidgi se kya lena
abhi to aap ke nakhre ka zikr chalta hai

hansi ki baat chali aur khwab tut gaya
lahu ke zikr se lashe ka zikr chalta hai

hamari maut ka bais thi ek gumnami
so har zaban pe katbe ka zikr chalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close