gudaz-e-dil se parwana hua khak jiya be-soz mein to kya jiya khak kisi ke khun-e-nahaq ki hai surkhi rangengi dast-e-qatil ko hina khak nigah mein sharm ke badle hai shokhi khule phir raat ka kya majra khak labon tak aa nahin sakta to phir main kahun kya apne dil ka muddaa khak bulandi se hai us ki dar ki ek roz karegi aashiyan barq-e-bala khak na dekha jin ka chehra gard-alud padi hai un pe ab be-intiha khak bayaban mein phira karte hain 'shaida' haqiqat mein hai ulfat ki dawa khak