dard-o-gham ki qaid se rah-e-mafar koi nahin

dard-o-gham ki qaid se rah-e-mafar koi nahin
ye wo ghar hai jis ki diwaron mein dar koi nahin

raste masdud hote ja rahe hain bhid se
aao us jaanib hi chalte hain jidhar koi nahin

qatl chori aabru-rezi khasare ka bajat
aaj ke akhbar mein achchhi khabar koi nahin

masalon ki mar se chehre hain murjhae hue
aisa lagta hai jahan mein be-zarar koi nahin

is qadar firqa-parasti har gali har mod par
nafraton ke shahr mein mahfuz ghar koi nahin

puchhti hain zard aankhen muflisi ki ot se
kya sunahre khwab ka ab naqsh-gar koi nahin

tod kar rishton ke bandhan chhod jate hain sabhi
sath deta hai 'sharafat' umr bhar koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close