dard mein lab par aah na lana sab ke bas ki baat nahin hanste hanste ashk chhupana sab ke bas ki baat nahin hum ne ek zalim ko apna dil de kar ye jaana hai patthar se shisha takrana sab ke bas ki baat nahin sham-e-alam palkon par apni raushan hain ashkon ke diye yun chahat ka jashn manana sab ke bas ki baat nahin duniya ki parwah na kar ke hum ne pyar kiya un se dosh-e-hawa pe dip jalana sab ke bas ki baat nahin gulshan se gul chun ke sajaana apne ghar ko aasan hai sahra sahra phul khilana sab ke bas ki baat nahin hae wo lab khamosh kisi ke uf wo kisi ki nichi nazar kuchh bhi na kah kar sab kah jaana sab ke bas ki baat nahin jo bhi kaha wo kar ke dikhaya hum ne mohabbat mein ai 'mayank' kahna aur phir kar ke dikhana sab ke bas ki baat nahin