hamare par hain shikasta udan baqi hai naya hai azm-e-safar aan-ban baqi hai tumhaara faisla manzur ho mujhe kaise abhi to hone ko mera bayan baqi hai watan pe sainkadon jaanen nisar kar denge dilon mein azmat-e-hindostan baqi hai ye kam nahin ki zamane mein aaj zinda hun ki do jahan mein mera mehrban baqi hai tum apne tir-e-nazar barha chalate raho abhi to jism mein kuchh aur jaan baqi hai ye kah ke lete hain mere mazar ke bose yahi to ahl-e-wafa ka nishan baqi hai hamare waste koi bhi chhat nahin hai 'mayank' hamare sar pe magar aasman baqi hai