dard musafir thahar gaya tha akhiyon ki hairani mein sirf mohabbat bahti thi aur sath ye ashk rawani mein kaise hua aur kab ye hua kuchh khabar nahin thi dil ko to ek mohabbat ja soi thi wahshat mein virani mein dard ki shiddat aur badhi thi shahr-e-wafa ki shamon mein aur virani baith gai thi in akhiyon ke pani mein is hasti ke andhiyaron ne bakht ko aise ghera tha apni sada tak ujad gai thi dil ki nauha-khwani mein ek sukhnawar ke lafzon ne mujh ko yun barbaad kiya lutf samaat ko milta hai ab to zahr-afshani mein us ne anjaani si baaten kin to phir ye ilm hua hum to dana samajh rahe the khud ko badi nadani mein