jab khizan ke chehre pile ho gae bagh ke sab phal rasile ho gae zikr tera jab chhida jaan-e-sukhan talkh lahje bhi surile ho gae jab chadhi us par jawani ki parat zawiye us ke katile ho gae teri furqat ne ghula kar rakh diya mere sab malbus dhile ho gae 'mir' ka diwan ghar mein kya rakha baam-o-dar ashkon se gile ho gae chand zarre bad-gumani ke the jo nafraton ke ab wo tile ho gae fasle jo the hamare darmiyan qurbaton ke ab wasile ho gae hum ne jo aasaniyon ke gul chune khar se badh kar nukile ho gae