dukh-dard musibat gham-o-alam nahin hai

dukh-dard musibat gham-o-alam nahin hai
kis dil mein bhala fasl-e-khun-asham nahin hai

jari hai abhi khel wahi zulm-o-sitam ka
aaghaz hi aaghaz hai anjam nahin hai

hoti hai shab-o-roz hi rishton ki tijarat
duniya mein mohabbat ka kahin nam nahin hai

auron ke liye subh tere lutf-o-karam ki
kya hum pe inayat ki koi sham nahin hai

qatil bhi hain mahfuz siyasat ki badaulat
ab un pe kisi qatl ka ilzam nahin hai

chehre ko chhupate hain yahan log 'sharafat'
chehre ko dikhane ka chalan aam nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close