dard-o-gham se dil-shikasta ho to ho phir purana zakhm taza ho to ho bhuk kahti hai ki kasa tham le zarf kahta hai ki faqa ho to ho shahron shahron qatilon ki bhid hai ganw mein koi farishta ho to ho zalimon ke ghar ujala ho gaya apni duniya mein andhera ho to ho hum ko karna hai ilaj-e-dard-e-dil un ki khatir gar masiha ho to ho wo karenge apne haq mein faisla aur sansad mein tamasha ho to ho is sadi ke mir-jafar dhund lo chahe is mein kuchh khasara ho to ho hum na apna tarz badlenge kabhi hum se ye aalam kashida ho to ho baat hai 'irfan' ye insaf ki wo khafa hota hai to kya ho to ho