dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai

dil shagufta hai ke phir koi khata hone ko hai
jaise agle hi qadam par hadisa hone ko hai

jaane kya kya ho gaya hai ho raha hai jaane kya
aane wale waqt mein ab jaane kya hone ko hai

wo gaya to laut kar sansen na aain jism mein
yun laga ki zindagi se fasla hone ko hai

dal di kashti bhanwar mein bas isi ummid par
ek tinke ka mujhe bhi aasra hone ko hai

jhuk gaya hai aasman udne lagi hai ye zamin
lag raha sawan mein ab ke kuchh naya hone ko hai

jis ne mere panw ko zakhmi kiya tha ek din
raste ka ab wo patthar dewta hone ko hai

phir suhani wadiyon se ishq ne di hai sada
lag raha hai ratjagon ka silsila hone ko hai

zindagi ki uljhanen kaghaz pe likkhi thin kabhi
aa rahi hai ye khabar wo falsafa hone ko hai

mil gaya wo ek guhar jo apne man ki sip mein
aisa lagta hai ki khud se rabta hone ko hai

chhu liya aakash ne jhuk kar zamin ke jism ko
mukhtasar sa ek pal ahd-e-wafa hone ko hai

hum to aisi fikr se ab ho chuke hain be-niyaz
hone do jo 'sahiba' achchha bura hone ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close