dariya dur nahin aur pyasa rah sakta hun us se mile baghair bhi zinda rah sakta hun us ki be-taufiq mohabbat ke jangal mein aadha gum ho kar bhi aadha rah sakta hun kaisa rahta hun mat puchho shahr mein us ke waisa hi rahta hun jaisa rah sakta hun tanha rahne mein bhi koi uzr nahin hai lekin us ke sath hi tanha rah sakta hun wo bhi daman chhodne ko tayyar nahin hai main bhi abhi is shakh se uljha rah sakta hun kuchh mujh ko khud bhi andaza hona chahiye kitna zae ho kar kitna rah sakta hun jis haalat se nikal aaya hun koshish karke is mein wo chahe to dobara rah sakta hun ek anokhe khwab ke andar sote jagte rahta hun main aur hamesha rah sakta hun jitne fasle par rakhta hai 'zafar' wo mujh ko rah bhi sakta hun lekin kya rah sakta hun