yaqin ko sinchna hai khwabon ko palna hai bacha hai thoda sa jo asasa sambhaalna hai sawal ye hai chhuda len masalon se daman ki in mein rah kar hi koi rasta nikalna hai jahan-e-saudagari mein dil ka wakil ban kar is ahd ki munsifi ko hairat mein dalna hai jo mujh mein baitha udata rahta hai nind meri mujhe ab us aadmi ko bahar nikalna hai zamin zakhmon pe tere marham bhi hum rakhenge abhi gadi suiyon ko tan se nikalna hai kisi ko maidan mein utarna hai jitna hai kisi ko ta-umr sirf sikka uchhaalna hai ye naw kaghaz ki jis ne naddi to par kar li kuchh aur sikhe ab is ko dariya mein dalna hai