dariya ki mauj hi mein nahin iztirab hai sang-e-rawan ke dil mein bhi ek zakhm-e-ab hai har fard aaj tutte lamhon ke shor mein asr-e-rawan ki jagti aaankhon ka khwab hai wo khud hi apni aag mein jal kar fana hua jis sae ki talash mein ye aaftab hai ab koi nisf dam pe bhi puchhta nahin ye zindagi nisab se kharij kitab hai palkon pe aaj nind ki kirchen bikhar gain shishe ki aankh mein koi patthar ka khwab hai ai 'kaif' na-qadon ke tassub ke bawajud mera har ek sher adab ki kitab hai