dil mein mohabbaton ke siwa aur kuchh nahin teri hikayaton ke siwa aur kuchh nahin ye gham ki bhid aur ye duniya ke raste un ki inayaton ke siwa aur kuchh nahin apna nahin khayal magar dusron ka hai bilkul himaqaton ke siwa aur kuchh nahin bhai ko bhai kis liye deta hai ranj-o-gham beja adawaton ke siwa aur kuchh nahin ye rang-o-nasl aur tashaddud ke silsile dushman ki rahaton ke siwa aur kuchh nahin