dariya mein dub jawe ki ya chah mein pade ai ishq par na koi teri rah mein pade mat puchh jaur-e-gham se dil-e-na-tawan ka haal bijli to dekhi hogi kabhi kah mein pade ek dam bhi dekh sakta nahin hum ko us ke pas khak us falak ke dida-e-bad-khwah mein pade jo dosti ke nam se rakhta ho dushmani diwana ho jo us ki koi chah mein pade aa ja kahin shitab ki manind-e-naqsh-e-pa takte hain rah teri sar-e-rah mein pade jalwe do-chand howen shab-e-mah ke abhi us mah-ru ka aks agar mah mein pade sulge hai nim-sokhta jaise dhuen ke sath jalte hain yun hum apni 'hasan' aah mein pade