kar ke asir-e-ghamza-o-naz-o-ada mujhe ai dil-nawaz tu ne ye kya de diya mujhe jaana tha itni jald to aaya tha kis liye ek ek pal hai hijr ka sabr-azma mujhe bujhne lagi hai sham-e-shabistan-e-arzu ab sujhta nahin hai koi rasta mujhe aankhen thin farsh-e-rah tumhaare liye sada tum aas pas ho yahin aisa laga mujhe ye dard-e-dil hai mere liye ab wabaal-e-jaan milta nahin kahin koi dard-ashna mujhe kashti-e-dil ka saunp diya jis ko nazm-o-nasq deta raha fareb wahi nakhuda mujhe rahzan se badh ke us ka rawayya tha mere sath pahli nigah mein jo laga rahnuma mujhe ab main hun aur khwab-e-pareshan hai mere sath kitna padega aur abhi jagna mujhe kya ye junun-e-shauq gunah-e-azim hai kis jurm ki mili hai ye aakhir saza mujhe 'barqi' na ho udas sar-e-rahguzar hai wo paigham de gai hai ye baad-e-saba mujhe