dariya-o-mauj sa kabhi hum se juda na ho ai but khuda talak bhi tera aashna na ho mahfil mein is pari ki jo ye dil-jala na ho yarab sharab-e-nab mein hi kuchh maza na ho us sabz khat ke bose liye main ne khwab mein yarab ghubar dil mein kahin aa gaya na ho pilwa rahe ho ru-ba-ru ghairon ko jam-e-mai aur kahte ho mujhe to meri jaan khafa na ho meri rawish pe kis liye bahka hai kya hua majnun se kah do chup bhi ho yun bawla na ho nikhat se mushk-o-itr ki duniya mahak gai pani nahane mein tera juda khula na ho mar hi gaya udhar jo mera nama-bar gaya qasid khuda ke waste tu bhi fana na ho bakht-e-siyah zalil hamein yun bhi karte hain jis shab wo aae ghar ko usi shab diya na ho lala ho arghawan ho sukhan ho gulab ho champa ho yasman ho magar diliya na ho aab-e-rawan ho chandni ho sabza-zar ho nargis ki tarah ghair koi dekhta na ho saqi ho mai ho gaen pari-zad sab bahaar saghar se jald chalne mein charkh-e-duta na ho pariyon ka raqs ru-ba-ru hota rahe mudam pahlu se yar lab se piyala juda na ho saman-e-aish gar ye mayassar ho ai 'nasim' hat-dharmi hai zaban pe jo shukr-e-khuda na ho