meri kahani teri kahani se mukhtalif hai ki jaise aankhon ka pani, pani se mukhtalif hai wo ek lamha jo dastaras mein nahin raha hai wo zindagi bhar ki raigani se mukhtalif hai ye jhil aankhen hamein jo paigham de rahi hain wo tere honton ki tarjumani se mukhtalif hai teri judai ka hadsa aisa hadsa hai jo har haqiqat se har kahani se mukhtalif hai main dasht-e-wahshat ki ret hun aur tu ek dariya meri rawani teri rawani se mukhtalif hai