gardish-e-arz ruke shab hai guzarne ke liye koi uttha hai sitaron se utarne ke liye zindagi tere masail ka sulajhna to alag kis ko fursat hai yahan ghaur bhi karne ke liye shakhsiyat-saz mohabbat ne badal di duniya ab wo surat kahan baqi hai mukarne ke liye lakh kar jae taraqqi fan-e-marham-sazi baat ke zakhm to khulte nahin bharne ke liye mushkilen majma-nigaron pe hui hain aasan rasta khud kahin milta hai guzarne ke liye kaukab-e-jam-o-subu farsh par dhalke honge sham hum anjumani subh bikharne ke liye shorish-e-dahr ko dahliz se takrane de dar khula chhod na 'mani' koi jharne ke liye