hijr ki raaten kaise katen puchho hijr ke maron se palkon palkon ashk sajae baaten kin diwaron se jiwan nayya jujh rahi hai zulm ke bahte dhaaron se hum ne kya kya dard samete rozana akhbaron se aangan aangan phul khilenge pyar ki khushbu mahkegi amn ka parcham hathon mein len kaam na len talwaron se nazm-e-zamana darham-o-barham ab to aisa lagta hai rahzanon ka khauf hai kam-kam dar hai pahre-daron se jahd-o-amal ka daman thamen azm ka parcham lahraen kashti par nahin lagti hai baaton ki patwaron se yaro jism ki khush-poshi se tazin-o-tauqir nahin dil ko bhi to raushan kije pakiza afkaron se mere watan ki mitti mein bhi yaro kitni khubi hai sondhi sondhi khushbu mahke barish ki bauchhaaron se