duniya-e-hast-o-bud se aage ki baat kar ai ruh ab wajud se aage ki baat kar mujh ko kitab-e-kun ka har ek bab hifz hai tu aa'd aur samud se aage ki baat kar mujh ko faraaz-e-ishq bata waiz-e-aziz ab zohd se sujud se aage ki baat kar is daur mein shahid ke waris ko mal de phir shahid-o-shuhud se aage ki baat kar lab khol ilm-o-fan ke khazane luta faqir is multaji numud se aage ki baat kar 'ehram' zindagi ka bharosa nahin koi kuchh to ziyan-o-sud se aage ki baat kar