dhup girne lagi badan bhar par chhanw rakh de koi mere sar par baukhla se gae dar-o-diwar ek dastak hui kisi dar par ek be-kar ki zarurat thi muskuraati rahi muqaddar par raat takiye pe bund bund giri kai jamne lagi hai bistar par sara din mustaqil tanaw tha ab hansi aa rahi hai daftar par ghar pe rahta tha ek saya-e-gham aur wo rahta raha mere ghar par bad-guman ho gaya hun bahar se hun main naraaz apne andar par sidhiyan ban rahi hain sab lahren chand utrega kya samundar par