dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej rahzanon mein tu musafir ko sar-e-sham na bhej dekh ho jaunga ghairon ke gale ka main haar haar phulon ke tu ai shokh-gul-andam na bhej bhar nazar surat-e-gul dekh to len ai be-dard hae sayyaad abhi hum ko tah-e-dam na bhej jab wo bheje hai mujhe mai to kahen hain yun ghair ye bahak jaega bas aur ise jam na bhej bhejun us pas jo qasid ko dobara to kahe baz aaya, nahin lene ka main inam na bhej kucha-e-yar mein pahunche hain to bas rahne de jite-ji yan se kahin gardish-e-ayyam na bhej dam-ba-dam bheje hai quliyan hi ko kya munh se laga lab se bhi lab ko mila bosa-ba-paigham na bhej baad muddat ke tujhe paya hai tanha ba-khuda aaj tu kaam ko yan se but-e-khud-kaam na bhej de kabhi bosa-e-chashm-o-lab-e-jaan-bakhsh bhi jaan sirf saughat hamein bosa-ba-paigham na bhej galiyan to hain mohabbat ki ibarat pyare kab main kahta hun ki likh kar mujhe dushnam na bhej par ye dhadka hai ki jawe na kahin khat pakda kar ke sar-name pe tahrir mera nam na bhej 'jurat' ab tujh se wo rutha to mana kyunki main laun tu hi phir dene lagega mujhe ilzam na bhej