dashna-e-dard har ek sans mein thahra hoga dil samundar hai to phir ghaw bhi gahra hoga teri qurbat mein meri sans ghuti jati hai main ne socha tha tera jism bhi sahra hoga mauj-e-khun sar se guzar jaegi jis raat mere rang-e-pairahan-e-shab aur bhi gahra hoga chal pade hain abhi jis par ye safiran-e-bahaar kisi bajti hui zanjir ka lahra hoga khushk patton pe chale jaise koi sham-e-khizan ab teri yaad ka yun jism pe pahra hoga kya khabar thi ye giran-goshi ka bais hogi shahr ka shahr sada par meri bahra hoga hijr ki aag mein badhti hai 'musawwir' tab-o-tab zahr-e-tanhai se rang aur sunahra hoga