teri nigah ka andaz kya nazar aaya darakht se hamein saya juda nazar aaya bahut qarib se aawaz ek aai thi magar chale to bada fasla nazar aaya ye raste ki lakiren bhi gum na ho jaen wo jhadiyon ka naya silsila nazar aaya ye raushni ki kiran hai ki aag ka shoala har ek ghar mujhe jalta hua nazar aaya kali kali ki sada gunjne lagi dil mein jahan bhi koi chaman-ashna nazar aaya suno to kis liye patthar uthae phirte ho kaho to aaina-khane mein kya nazar aaya ye dopahar ye pighalti hui sadak 'baqi' har ek shakhs phisalta hua nazar aaya