hain muntazir aankhen koi ek khwab to aae sahil nahin aata hai to girdab to aae sahra ke khad-o-khal se khelun main kahan tak raste mein koi khitta-e-shadab to aae kya fikr jo paikar se wo mahtab nahin hai pahne hue pairahan-e-mahtab to aae aflak ye kahte hain hui bazm mukammal kahte hain sitare mera mahtab to aae jo waqt ki likkhi hui tahrir mita de bazar mein aisa koi tezab to aae jin logon ne dekhi nahin dubi hui basti wo log dua karte hain sailab to aae sunta hun ki har shakhs padhe us ka qasida ek bar shanawar wo tah-e-ab to aae aa jaenge aahu bhi jhukae hue gardan shamshir-e-hunar mein teri kuchh aab to aae kis kaam ke the phenk diye dasht-e-ziyan mein hathon mein kai gauhar-e-nayab to aae sukhe hue hont apne dikha denge use hum pahle hamein karne koi sairab to aae har shakhs se milta hai nae kunj-e-nafas mein 'yawar' ko mulaqat ke aadab to aae