dasht-e-ta'bir mein aankhon ko jalane ke liye raat aai thi hamein khwab dikhane ke liye din ko har gam pe wo sath tha sae ki tarah sham aate hi hamein chhod ke jaane ke liye yaad karna bhi khata yaad na karna bhi khata hum to jite rahe ilzam uthane ke liye jaane kyon dasht-e-tamanna mein bahaar aa pahunchi hum hi kya kam the yahan khak udane ke liye chashm-e-viran ka bhala kis se mudawa hota tum hi aa jate kabhi hum ko rulane ke liye shahr-e-dil tund hawaon ka hai maskan 'rashid' kaun aaega yahan sham' jalane ke liye