sho'la hai na aansu hai na shabnam na saba hai 'mumtaz' meri zat faqat harf-e-wafa hai jo barq bhi girti hai guzarti hai idhar se aalam ne shayad mera ghar dekh liya hai guzre hain faqat ek hamin dasht-e-bala se amboh-e-rafiqan to kahin thahr gaya hai kuchh zakhm chhupae hain zamane ki nazar se kuchh chaak hain aise jinhen ek 'umr siya hai gham ho ki sukun ho hamein jina hai bahar-taur marne ka ye andaz bhi kya khub raha hai