dasht-e-tanhai mein hum khak uda dete hain shab ki khamoshi mein yaadon ko sada dete hain din guzarte hain tawaf dar-e-jaanan karte apni raaton ko bhi aankhon mein ganwa dete hain raat bhi bit gai tare bhi sab dub chale apne ashkon ko bhi palkon mein chhupa dete hain apne atwar pe nadim na hon mahfil mein aziz chehre chhup jaen charaghon ko bujha dete hain tum pareshan ho kyun hum to tumhaari khatir ab bhi chaho to har ek baat bhula dete hain