ye kis ka jalwa-e-hairat-faza nigah mein hai ki pa-e-shauq guzargah-e-mehr-o-mah mein hai hazar manzil-e-rah-e-junun tamam hui hazar manzil-e-ahl-e-junun nigah mein hai bulandiyon se guzar kar khirad ka haal na puchh bas ek ghubar-e-tahayyur liye nigah mein hai aziz-tar teri baaten ki is sukut ke sath tamam shokhi-e-lafz-o-bayan nigah mein hai farogh-e-jalwa-e-ummid teri umr daraaz siyah raat hai sar par sahar nigah mein hai kis ehtimam se hai aamad-e-urus-e-sahar ki aahaton ka tarannum tamam rah mein hai kahan hai tab-e-nazar ahl-e-dil ki mahfil mein kise majal-e-sukhan un ki bargah mein hai