shajar pe baithe hue hain panchhi tanaw mein sab abhi shikari hain apne apne padaw mein sab mohabbaten ho rahi hain zakhmi kise khabar hai abhi hain masruf apne rishte chunaw mein sab nahin tum aise nahin ho jaisa ye padh rahe hain hamein pata hai qasida-khwan hain dabaw mein sab bana ke din bhar meri ayaadat ko ek bahana namak lagane ko aate rahte hain ghaw mein sab tumhaare andar ke aadmi se nahin hain waqif ye log baithe hue hain kaghaz ki naw mein sab