dasht hai kaun-o-makan aur la-makan

dasht hai kaun-o-makan aur la-makan
dur tak wahm-o-guman aur la-makan

ibtida na intiha na rasta
main abad ke darmiyan aur la-makan

ek dhadka khak mein dala hua
ek sa’i-e-raegan aur la-makan

jal-bujha hai aag mein mera padao
chaar-su mera dhuan aur la-makan

ek zamin-e-be-yaqini mere sath
ek guman-e-la-guman aur la-makan

ek sahra zat se aage kahin
ek hijrat darmiyan aur la-makan

baadalon mein gum hue jate hain sab
karwan-dar-karwan aur la-makan

ek sayyara mere raste mein hai
warna main tha aasman aur la-makan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close