hawa hai tez magar baadban to hai hi nahin sitara ek bhi manzil-nishan to hai hi nahin jabin-e-shauq jhukaen kahan sujud karen talab ki rah mein wo aastan to hai hi nahin nazar lade to kahan dil ko le ke jaen kidhar khirad ke mulk mein shahr-e-butan to hai hi nahin lahu lahu hai qaba kya hua hai bismil ko ajib baat hai khanjar rawan to hai hi nahin hain sab ke sab tere rang-e-bahaar mausam-e-gul koi bhi mahram-e-baad-e-khizan to hai hi nahin hazar tir saje hain nazar ke tarkash mein magar wo abru-e-misl-e-kaman to hai hi nahin makin-e-zat karen us ki zat par baaten ajab ye hai khabar-e-la-makan to hai hi nahin nigah aks mein gum ho gai magar afsos ye dil ki waqif-e-shisha-garan to hai hi nahin main haal-e-zar kahun us se kis tarah 'kausar' mere dahan mein ek aisi zaban to hai hi nahin