dasht kya shai hai junun kya hai diwane ke liye shahr kya kam hai mujhe khak udane ke liye hum ne kya jaaniye kya soch ke gulshan chhoda fasl-e-gul der hi kya thi tere aane ke liye main sarae ke nigahban ki tarah tanha hun hae wo log ki jo aae the jaane ke liye hum wahi sokhta-saman-e-azal hain ki jinhen zindagi dur tak aai thi manane ke liye dil ki mehrab ko darkar hai ek shama faqat wo jalane ke liye ho ki bujhane ke liye tu meri yaad se ghafil na teri yaad se main ek dar-parda kashakash hai bhulane ke liye zabt-e-paiham ke nisar ai dil-e-azar-talab shart-e-daman bhi utha ashk bahane ke liye sun mujhe ghaur se sun naghma-e-na-paida hun koi aamada nahin saz uthane ke liye harf-e-na-gufta ki rudad liye phirte hain pahle kahte the ghazal un ko sunane ke liye dil ki daryuza-gar-e-harf-e-tasalli na raha hum ne ye rasm utha di hai zamane ke liye sans roke hue phirta hun bhare shahr mein 'shaz' us ne kya raaz diya mujh ko chhupane ke liye